Tuesday, April 1, 2008

Taqdeer Mohabbat Ki


Haathon ki lakeeron mein taqdeer chupi hoti hai,
Dil ki har baat chupi hoti hai,

Kaun kehta hai mohabbat sabko nahin milti,
Har aankh ke liye koi tasveer bani hoti hai,

Dhadkane chalti hai mohabbat se,
Aur har mohabbat mein kisi ka intezaar chupa hota hai,

Kaun mangta hai dua khud ke liye,
Har duan mein yaar ka naam chupa hota hai..........

Mohabbat - Ek Haseen Ehsaas

Band aankhon se bhi yaar ka deedar kiya jata hai,
Saason se bhi uske aane ka gumaan ho jata hai,

Khud ki hassi se kisi ko sukun diya jata hai,

Yaar ko bhi khuda banaya jata hai,

Mohabbat naam hai Ruswai ka,

jahan mehfil mein bhi khud ko akela paya jata hai,

Yeh bandhan nahin kuch palon ka,
Yeh to sadiyon tak nibhaya jata hai,

Kya hum kahen yaar ishq ke baare mein,
Ismein Dil to kya jaan ko bhi Daov pe lagaya jata hai.........

Mohabbat

Mohabat jab se hui hai har baat se darr lagta hai,
Gairon se kya humein toh khud se bhi darr lagta hai,

Mohabat jab se hui hai har lamha khush lagta hai,
Mohabat mein har koi Dil ke kareeb lagta hai,
Mohabat jab se hui hai yaar khuda nazar aata hai,
Duniya mein yaar sabse ajeez lagta hai,

Mohabat jab se hui hai dil ka haal behaal nazar aata hai,
Ab to humein hawa ka jhoka bhi beimaan sa lagta hai,

Mohabat jab se hui hai dekho to sahi kya haal ho jata hai,
Jo na jalta tha kabhi aaj us dil mein bhi jalan ka aks lagta hai........